Thursday, May 27, 2010

Aaye hai darshan paane...



Aaye hai darshan paane, deewane Tere naam ke (2)
Paavon me ghunghroo bandh ke naache...(2)
Mayya ko khub rijhaye, ke jaykara lagaye, deewane Tere naam ke
Aaye hai darshan paane, deewane Tere naam ke (2)

Jahan pe hota Maa ka bhajan hai (2)
Wahin pe rehte ye toh magan hai (2)
Mayya ke charnon me inka thikana (2)
Mayya ke mann ko bhaaye, ke nainon me samaye, deewane Tere naam ke
Aaye hai darshan paane, deewane Tere naam ke (2)

Maa ko lagte hain jaan se pyaare (2)
Ye toh hai Maa ki aankhon ke taare (2)
khole hain Maa ne bhandaare (2)
Khadi hai jholi failaaye, khazana Maa lutaye, deewane Tere naam ke
Aaye hai darshan paane, deewane Tere naam ke (2)

Koi toh laaya Lal chunariya (2)
Koi utare Maa ki nazariya (2)
Shyam ki Mayya Le ko khabariya
Dwaar pe apne bulale, gale se lagale, deewane Tere naam ke
Aaye hai darshan paane, deewane Tere naam ke (2)

Aaye hai darshan paane, deewane Tere naam ke (2)
Aaye hai darshan paane, deewane Tere naam ke (2)
Aaye hai darshan paane, deewane Tere naam ke (2)

No comments:

Post a Comment

Jai Dadi Ki