Sunday, May 23, 2010

Aaye Tere dwar Maa...

Nain khol dekh maiya bhakt ki pukaar hai
Deen dukhiyare saare aaye tere dwaar hai.

Sinh ki sawari thari shaan hi nirali hai,
Gale mund maal tu hi kaali matwali hai,
Gyani aur dhyani tero paayo nahin paar hai,
Deen dukhiyare saare aaye tere dwaar hai.

Tu hi nav Durga hai, chandika vishal hai,
Sharda bhawani tu hi kare pratipaal hai,
Jhunjhunu ke maay maiya tero darbaar hai,
Deen dukhiyare saare aaye tere dwaar hai.

Paandavon ki tumne hi laaj bachaai thee,
Yaad kari jab daudi daudi aai thee,
Aisa hi apaar apne bhakton se pyaar hai,
Deen dukhiyare saare aaye tere dwaar hai.

Shumbh aur nishumbh maiya tune hi vidaare hain,
Mahishasur se maiya tune daitya pachhade hain,
Der na lagaao maiya dil bekarar hai,
Deen dukhiyare saare aaye tere dwaar hai.

No comments:

Post a Comment

Jai Dadi Ki