Monday, May 24, 2010

Maiya mere jeewan ki...

Maiya mere jeewan ki tum hi ho aadhaar
Tu karuna ki hai saagar aur mamta ka bhandaar

Nirakh rahi hai hum bhakton ko bade pyar se jagjanani,
Isi tarah hum bacchhon ko bhi teri hee sewa karnee
Tu hardam deti rehna humko ma pyar dular
Maiya mere jeewan ki tum hi ho aadhaar

Teri mamta ki chhaya me dadi hum to pale badhe,
Teri kripa se hi maiya, apne pairon pe hain khade,
Tere bacchhon ko dene me tu karti na inkaar
Maiya mere jeewan ki tum hi ho aadhaar

Harsh kahe ma jhunjhunuwali, har pal saath tumhara ho,
Hum bacchhon pe hardam maiya, aashirwaad tumhara ho
Tu haath daya ka rakhana, saancha hai tera darbaar
Maiya mere jeewan ki tum hi ho aadhaar

Teri marzee sada chali hai, chalati rahegi ma hardam,
Tujhko maiya hum na bhoolen chahe kjushi mile ya ghum
He dadi hum bhakton par rahe sada tumhara haath
Maiya mere jeewan ki tum hi ho aadhaar

No comments:

Post a Comment

Jai Dadi Ki