Monday, May 24, 2010

Ranisati ka jis ke sir pe haath hai...

Rani sati ka jis ke sir pe haath hai,
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai
Kya baat hai, kya baat hai, kya baat hai dadi ki
Rani sati ka jis ke sir pe haath hai,
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai

Dadi naam ki naav pe jo bhee hua sawaar hai,
Jise bharosa dadi ka, uska beda paar hai
Use duboye kiski yeh aukaat hai,
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai

Rani sati ke naam ka jo deewaana ho gaya,
Saath hai uske jagdamba, sang zamana ho gaya
Doolhe ke sang jaise chane baraat hai
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai

Ma ki sharan me jo gaya, kripa maiya ki pa raha,
Tu bhi aaja dwaar pe, sewak kyon sakucha raha
Ma ki kripa se badh kar kya saugaat hai
Dhanya hua who, uskee to kya baat hai

1 comment:

Jai Dadi Ki