Sunday, May 23, 2010

Dena hai toh dijiye, janam janam ka sath...

Dena ho to deejiye, janam janam ka saath,
Mere sir pe rakhdo maiya, apne yeh dono haath,
Dena ho to deejiye, janam janam ka saath.

Iss janam me sewa de kar bahut bada ehsaan kiya,
Tu hi Durga, tu hi Kali, humne tumhe pehchaan liya,
Hum saath rahen janamoon tak, bas rakhna itni baat,
Dena ho to deejiye, janam janam ka saath

Jhulas rahe hain gham ki dhoop me, pyar ki chhaiyan kar de tu,
Bin paani ke naav chale na, ab patwaar pakad le tu,
Mera raasta karde roshan, chhai andhiyaari raat,
Dena ho to deejiye, janam janam ka saath

Suna hain humne, sharnagat ko apne gale lagati ho,
Humne aisa kya maanga, jo dene me sakuchati ho,
Chahe dukh me rakh ya such me, bas hoti rahe mulaqat,
Dena ho to deejiye, janam janam ka saath

No comments:

Post a Comment

Jai Dadi Ki