Friday, May 21, 2010

Naya Saal Aya hai...

(Tarz - Kya khub Lagti Ho)

Naya Saal aaya hai, nayi khusiyaan laya hai,
Hamne subh swagat main, darbaar sajaya hai,
hum ye kahe, sab yeh kahe, subh avsar aaya hai,
naye saal me maiya ji ka darshan paya hai !!

Lo Mangal subh gadi aayi, haan aayi,
bhakto ke dil me khusiyaan chayee,
aare aaj mila hai darshan, haan darshan,
dekhi hai maiya ki saklayi,
Maiya ne aakar ke bhagya jagaya hai,
Naye saal me maiya ji ka darshan paya hai !!

Aare ab ti jagegi kismat, haan kismat,
nischit hai, isme nahin hai do mat,
mit jayega andhiyara, andhiyara,
meri dadi maa, kar degi ujiyala !!

Varsho ka sapna ye sacha ho paya hai....
Naye saal me maiya ji ka darshan paya..

No comments:

Post a Comment

Jai Dadi Ki