Thursday, May 27, 2010

Seva Puja Kar nahi paaya...



Seva puja kar nahi paaya
Seva bhakti kar nahi paaya
Kismet ka maara
Tere sevak ke ghar me
Janam dena dobara

Maat – Pita mujhe aise dena
Jo Teri jyot jagate hon (2)
Bhai behan mujhe aise dena
Jhunjhnun aate jate hon (2)
Putra mujhe Tu aisa dena (2)
Jo Teri aankh ka taara
Tere sevak ke ghar me
Janam dena dobara (2)

Dil dena toh aisa dena
Jo bas Tumse pyaar kare (2)
Sagge sabandhi se bhi jyada
Tujhpe aitbaar kare (2)
Jab bhi nikle toh bus dil se (2)
Tera jay jaykaara
Tere sevak ke ghar me
Janam dena dobara (2)

Gali mohalla aisa dena
Tera kirtan hota rahe (2)
Mere padosi aise dena
Teri charcha karte rehne (2)
Sukh dukh me Dadi tera
milta rahe sahara
Tere sevak ke ghar me
Janam dena dobara (2)
Pyaara sa Mandir ho Tera
Meri gali ke nukkad pe (2)
Tera darshan karke jaaye
Jab nikale apne ghar se (2)
Banwari Teri kirpa se (2)
Chalta rahe gujaara
Tere sevak ke ghar me
Janam dena dobara (2)

Seva puja kar nahi paaya
Seva bhakti kar nahi paaya
Kismet ka maara
Tere sevak ke ghar me
Janam dena dobara

No comments:

Post a Comment

Jai Dadi Ki