Monday, May 24, 2010

Kar jod ke khada hoon...

Kar jod ke khada hoon, apna hukam sunaao

Aangan tera buhaaroon, charnon ko main pakhaaroon,
Jo bhee kaho karoon main, tera kahaa na taaroon
Teri bandagi ke laayak, maiya mujhe banaao
Kar jod ke khada hoon, apna hukam sunaao

Tere sewakon ka sewak, daason ka daas hoon main,
Aisi karo vyavastha in sab ke saath rahoon main
Jo tum se pyar karte unse mujhe milao
Kar jod ke khada hoon, apna hukam sunaao

Tere dar ki chaakari main, bachapan se kar rahaa hoon,
Apni khushi se jo bhee, deti ho le raha hoon
Chalata naheen guzaara, tankha meri badhaao
Kar jod ke khada hoon, apna hukam sunaao

Karke daya dayaloo, naukar mujhe rakha hai,
Dar par umar guzaari, yeh aapki kripa hai
Ab aakhri ghadi tak mujhko to tum nibhaao
Kar jod ke khada hoon, apna hukam sunaao

No comments:

Post a Comment

Jai Dadi Ki