Friday, May 21, 2010

Sarv Sukh Dayani....

Sarv sukh Dayani , Maiya Var Dayini,
Maa Narayani, tu Hi Jag Taarini !

Hey Bhawani Maiya Sada Teri Rakhna Kripa
Tere Charno Se karna kabhi naa judaa !
Sarv sukh Dayani , Maiya Var Dayini............

Roop man mohna , mukh hai chandrama !
tere aanchal me mamta ka sagar ghana !
Sarv sukh Dayani , Maiya Var Dayini............

Tu Suhagan ke sar, haath dhar de agar,
to suhagan ka sindoor hota amar !
Sarv sukh Dayani , Maiya Var Dayini............

Mera Armaan hai, mujhe vardaan de
Teri Chokhat pe nikle mere pran ye !
Sarv sukh Dayani , Maiya Var Dayini............

Bhakt sumiran kare, sada vandan kare,
Teri sewa me jivan ye arpan kare !
Sarv sukh Dayani , Maiya Var Dayini............

No comments:

Post a Comment

Jai Dadi Ki