Saturday, May 22, 2010

Mayya ka Darbaar...

Swarg se sunder, sapno se pyara , hai tera darbar,
jahan tera pyar mila hai, mujhe har bar mila hai,
jahan tera pyar mila hai, mujhe har bar mila hai,

roshan hai meri duniya tere hi pyar se,
sab kuch mila hai hame, is darbar se,
teri saran me aa ke mila hai ek naya pariwar -2
jahan tera pyar....................

jab apna hath mere sir pe phirati,
meri sari vipda door ho jati,
ham par apni mamta luta kar bana diya hakdar - 2
jahan tera pyar....................

tum ho hamari maiya , hum hai tumhare,
mujhko ko lagte pyare tere sab najare -2
bhakt ko aisi seva mili hai , jahan ki kya darkar,
jahan tera pyar...................

No comments:

Post a Comment

Jai Dadi Ki