janam janam ka saath hai, tumhara hamata !
karenge sewa har jivan me, pakdo haath hamara
jab bhi janam milega , sewa karenge teri,
karte hai tumse wada, saran rahenge teri,
har jivan me bankar sathi, dena saath hamara !
janam janam ka..........
duniya banane wali, yeh sab hai teri maya,
suraj chand sitaren, sab ko tune banaya,
phans na jaoon maya me, de aashirwad tumahra !
janam janam ka..........
jab se hosh sambhala, tab se ye hamne jana,
teri bhakti na mile, jivan vyarth gawana
banwari insaan jagat me, phirta mara mara !
janam janam ka..........
Friday, May 21, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Jai Dadi Ki