Monday, May 24, 2010

Darbaar lagaa hai maiya ka...

Darbaar lagaa hai maiya ka, kaisi yeh suhaani bela hai
Kaisi yeh suhaani bela hai, kaisi yeh suhaani bela hai

Koi naach raha, koi gaaye raha,
Koi dadiji ko bhajan sunaye raha,
Koi jai jai kar lagaay raha, kaisi yeh suhani bela hai
Kaisi yeh suhaani bela hai, kaisi yeh suhaani bela hai
Darbaar lagaa hai maiya ka, kaisi yeh suhaani bela hai

Yeh jhunjhunu wali aayee hai,
Bhakton me khushiyaan chhaai hai
Mamta barsaane aayee hai, kaisi yeh suhani bela hai
Kaisi yeh suhaani bela hai, kaisi yeh suhaani bela hai
Darbaar lagaa hai maiya ka, kaisi yeh suhaani bela hai

Darshan se saare paap talen,
Sukh milta ma ke paaon tale
Bhakton ko ma ka pyar mile, kaisi yeh suhani bela hai
Kaisi yeh suhaani bela hai, kaisi yeh suhaani bela hai
Darbaar lagaa hai maiya ka, kaisi yeh suhaani bela hai

Jhunjhunuwali ka pyar mila,
Such chain bhi aparampaar mila
Mujhko sacchha darbaar mila, kaisi yeh suhani bela hai
Kaisi yeh suhaani bela hai, kaisi yeh suhaani bela hai
Darbaar lagaa hai maiya ka, kaisi yeh suhaani bela hai

1 comment:

  1. BEAUTIFUL WORDINGS BUT FAILS TO UNDERSTAND ITS TARJ,, KINDLY MENTION ITS TARJ TO,,

    I REALLY APPRECIATE UR THIS EFFORT.

    JAY DADIKI

    ReplyDelete

Jai Dadi Ki